Saturday 15 August 2015

Activity Class IV - Birthday Wishes










Poems- INDEPENDENCE DAY












Bharat maa ke amar saputon,
path par aage badhate jaana.
parwat nadiyaan aur samandar,
hans kar paaya sabhi kar jaana.
tumame Himgiri ki unchaayi,
saagar jaisi geharaayi hai.
leharon ki masti hai tum mein,
suraj jaisi tarunaayi hai.
Bhagat Singh, Rana Pratap ka,
Behata rakt tumhaare tan mein,
Gautam, Gandhi, Mahaveer sa,
rehata satya tumhaare man mein.
sankat aaya jab dharti par,
tumane bhishan sangraam kiya.
maar bhagaaya dushman ko fir,
jag mein apana naam kiya.
aane waale naye vishav mein,
tum bhi kuchh kar ke dikhlaana.
Bharat ke unnat lalaat ko,
jag mein unchaa aur uthaana.